Tujhe Pyaar mera satayega,
Yaadon ke toofan utthayega,
Mera naam likh ker kitabon main,
Tu logon ke darr se mitayega,
Zikar mera aksar karne se pehle,
Tu kuch soch ker muskurayega,
Baatein meri yaad aayengi,
Jitna tu unhain bhulayega,
Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe,
Tu nazron ko phir bhi jhukayega,
Jis ne mujhe itna sataya hai,
Us ka chain bhi koi churayega.........
Sunday, February 13, 2011
Ab K Yoon Dil Ko Saza Di Humne....
Ab K Yoon Dil Ko Saza Di Humne,
Us Ki Her Baat Bhula Di Humne,
Eik, Eik Phool Bahut Yaad Aaya,
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Humne,
Aaj Tak Jispe Woh Shermate Hain,
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Humne,
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua,
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Humne,
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh,
Aaj Phir Us Ko Dua Di Humne,
Koi To Baat H Usme,
K Her Khushi Jispe Luta Di Humne.....
Us Ki Her Baat Bhula Di Humne,
Eik, Eik Phool Bahut Yaad Aaya,
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Humne,
Aaj Tak Jispe Woh Shermate Hain,
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Humne,
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua,
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Humne,
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh,
Aaj Phir Us Ko Dua Di Humne,
Koi To Baat H Usme,
K Her Khushi Jispe Luta Di Humne.....
Tumhe jab kabi mile fursat.....
Tumhe jab kabi mile fursat,
mere dil se bojh utar do,
Main bahut dino se udass hu,
mujhe koi sham to udhar do,
Mujhe apne roop ki dhoop do,
k chamak sake mere khabo khayal,
Mujhe apne rang mai rang do,
meri saree zang utar do,
Kisi aur ko mere hal se na koi ghrz hai na wasta,
mein bikhar gaya hu samet lo,main bigar gaya hu sanwar lo,
Meri dhadkano ko badha dia hai judaiyo k sailaab ne,
mere dil pe hath rakho zara meri dhadkano ko karar do,
Tumhe jab kabi mile fursat,
mere dil se bojh utar do.......

Aarzu thi teri baho me dam nikle......
Aarzu thi i baho me dam nikle,
Kasur tera nahi badnaseeb hum nikle...
Jaha bhi jaye Khush rahe tu sada,
Dil se mera dua sada yahi nikle.
Mera hotto ki hasi tera hotto se nikle,
Tere gam ka dariya mera aankhon se nikle
yeh zindagi sada umhe hasati hui nikle,
agar chahe to hame rulati hui nikle...
Agar zindagi me kabhi jina pade tere bin,
Teri doli se pehle arthi meri nokle.
Aarzu thi tera baho me dam nikle,
Kasur tera nahi badnaseeb hum nikle..

Aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo....
Aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo....
Ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo...
Log muthhi mein namak le ke phira kerte hain....
Zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo...
Saanp khushbu ke ahaate mein basa kerte hain....
Phool ke peron ko aangan mein lagaya na karo...
Haathh aaye usi lumhe ko ghaneemat jano....
Apni palkon pe koi khwab sajaaya na karo...
Yaas ki tapti hui ret mein jalne do mujhe....
Aas ke badlo sir pe mere aaya na karo...
Aaj ke daur ka paigham yahi hai taalib...
Koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo...